Aik Siski...
Kis samt se chaley gee hawa,
Kidhar ko jayegi?
Kis ke lehrain ge gaisoo?
Kis kee qaza aayey gee?
Waqt ke chakkar main..
Kaun aata hai nahin?
Lamhoon ke daaman se....
Kis naam kee sada aayey gee?
Main sochne kee salahiyat se mahroom,
Samajhne ka rawadar nahin,
Khauff ka partow bhi gehra hai,
Ghazab kee tehreek se faraar nahin.
Lahoo ko daudne se fursat hee kahan,
Zaree jo aankh bhar aayee hai..
To ruk kar hairat se dekhta hai usko,
Aur phir usi raftaar se bhaag khada hota hai.
Ik talatum hai soch ka,
Khadshaat ka rela hai,
Dabez ghani shab-e-taar,
Aur guman-e-bad ka mela hai.
Koney main dil ke kahin,
Dabi hui hai siski,
Dabak kar baithee hai,
Rauzan-e-ayyam-rafta zara waa hota hai,
To bhaag kar nikalti hai!
Tuloo-e-sub'h jab laut kar aati hai,
Baal pareshan, haal pareshan,
To shaam tak lahoo aur saans ka khel dekhti hai,
Phir jab gumaan lashkar shaam par chadhai karta hai,
Dabak kar bath'ti hai...
Rauzan ko nigahoon main baandh kar...
Par taul kar, dam saadh kar...
Hai bechari...!
Wrote this, this morning and edited it now. Working on another version, maybe... just maybe ... I will be able to make that into something better. Let's see...