knicq
Thursday, November 11, 2004
  Kiyun Likhu'n? - The edited version.
Kis baarey main likhun,
Main kiyun likhun?
Mairey alfaaz ki akhir...
Wuq'at hi kiya hai?

Kia Baghdad main goonjein ge kabhi?
Ya Kabul main kabhi sunaey jaen ge?
Fallujah ki kisi deewar pe raqam honge?
Ya Gaza main kahin barsaey jaen ge?
Ya bus...
Kaghaz hi ke seeney pe dohraey jaen ge?

Qalam ki sihayi se Yawar,
Jo kaghaz daaghdar karun,
Ehsas ke afriyatun ko,
Alfaz ka tabeydar karun.

Tarz-e-fughan chod dun,
Naalun ka toomar tod dun,
Nai tarz se guftaar karun,
Main har jumle se waar karun.

Mairey alfaz...
Jo dhadkanun ki taal bun jayen,
To azadiyun ki dhaal bun jayen.
Jo misl-e-shola bhadak uthen,
To ghaasibun ka ma'aal bun jayen.
Jo taaziyana bun ke lehrayen,
To aflak main wabal bun jayen.
Jo mujahidun ko izbar ho jayen,
To Mashreq, Maghrib ho jayen,
Junoob, Shamal bun jayen.

Magar Yawar...
Mairey ehsas ki akhir...
Wus'at hi kia hai?
In alfaaz ki akhir...
Wuq'at hi kiya hai?
Main kis dil se likhun Yawar...
Aakhir kiyun likhun?

 




<< Home
A little brooding here, a bit of pondering there, helpings of humour, sprinklings of tears, now celebrating, now lamenting, all done under the watchful eyes of Hope, all endured in the hope of staying human.

My Photo
Name:
Location: Jeddah, Saudi Arabia

Irritating and proud of it.

Archives
2004-06 / 2004-07 / 2004-08 / 2004-09 / 2004-10 / 2004-11 / 2004-12 / 2005-01 / 2005-02 / 2005-03 / 2005-04 / 2005-05 / 2005-06 / 2005-07 / 2005-08 / 2006-01 / 2006-04 /


Powered by Blogger

Subscribe to
Posts [Atom]