Two Rubayees, and a Nazm.
a)
Uryaani ab alaamat-e-irtiqa thehri hai,
Ahl-e-watan main ghairat na'n haya thehri hai,
Dukhtaran-e-watan se kia kahiyey keh unke liyey,
Burqa qissa-e-maazi huwa, chaadar saza thehri hai.
(October 1995)
b)
Yawar, meri saqafat ka program dekha hota,
Dukhtaran-e-watan ko raqsaan bar-sar-e-aam dekha hota,
Itney baras kitaabun main kiya padhaa kiyey tum,
Jo PTV pe aaya, kal woh Islam dekha hota.
(March 1996)
c) Fauj-e-Yazdaan.
Raastey assaan bhi ho saktey they,
Musaafir jawan bhi ho saktey they,
Ghaasib akela bhi ho sakta tha,
Zaalim natawan bhi ho saktey they.
Har dua hee gar Yawar,
Teri maqbool-e-rehmat hoti,
Har roz hi gar,
Mo'jza roonama hota,
To sehal bohat mujaahidun ko,
Qudrat ke imtihaan ho saktey they.
Par tu....
Keh na Zaahid hai, na'n Mujahid,
Tu kia jaaney lazzat-e-talkhi ko,
Ramooz-e-diqqat-o-mushaqqat jo,
Ayan hotey jawanan-e-millat pe,
Woh fauj-e-yazdaan bhi ho saktey they.
(November, 2002)