First Draft.
Tum ne kabhi poocha hi nahin,
Main batata...
To aakhir kia batata?
Tumhen kis lashkar ka khauf tha'?
Tum kaun bagal sun baithey the'?
Kis na bana daleen yeh itni buland faseelen?
Kaun darwazun pe qufal daal gaya?
Koi bhi to nahin tha...!
Kabhi jhank kar is paar dekh to laitey,
Door tak,
Ta hadd-e-nigaah,
Kuch bhi to nahin tha!
Bus ik jaanlaiwa khamashi thee,
Ik sansanaata sannatta tha',
Kabhi nan khatm honey wala din tha',
Kabhi nan aney wali raat thee,
Mairey pairun pe jamee,
Safar kee dhool thee,
Mairee aankhun main larzaan,
bujhti see ummeed thee,
Mairey seeney pe raqsaan,
Hasrato-yaas kee shuneed thee,
Mairey haathon ke chaley the',
Halaq ke kaante the',
Aur bhaari,
Bohat bhaari,
Woh zang alood, lahoo rung zanjeer thee...
Shal bazoo the',
Sookhey huwey aanso'on ka,
Sisakta huwa samandar tha.
Meri awaz thee,
Baaz'gasht thee,
Aur pathreeli,
Sungdil deewar thee!
Tum daikhtey to sahee,
Aur koi nahin tha...
Main tha!
Tum poochtey to sahee,
Bus main tha!!
Magar tum ne poocha hi nahin,
Daikha hi nahin,
Tumhen main karb batata?
Kub batata?
No name thought of as yet, nor am I sure how much of this original will remain once I can have a go at it again...if and when, but thought it a good idea to put it up and buy time before I can come back with a post, and answers to
Sanchez' interview, and
KK's stick...
For now, it is Main aur mera flu....!